ab koi silsila nahin baaqi
doston men vafa nahin baaqi
zindagi tujh pe raa.e kya du main
ab koi tabsira nahin baaqi
vaqt-be-vaqt kyuun baraste hain
badalon men haya nahin baaqi
zindagi tujh se aur laḌne ka
mujh men ab hausla nahin baaqi
ranj, uljhan, ghuTan, pareshani
rog koi raha nahin baaqi
apni manzil ko chhu liya main ne
koi maqsad raha nahin baaqi
mere dushman ke qalb men fil-vaqt
jang ka hausla nahin baaqi
jiit rakkha hai main ne apne ko
mujh men koi ana nahin baaqi
ashk ankhon men aa ga.e hain ‘siya’
zabt dil par zara nahin baaqi
Leave a Reply