pyasa jo mere ḳhuun ka hua tha so ḳhvab tha
nindon men zahr ghol raha tha so ḳhvab tha
kanTa jo dil ke paar hai tabir hai so ye
sahra men ik gulab khila tha so ḳhvab tha
ik iltija thi ankhon men pathra ke rah ga.i
ik aks sang-e-dar pe khaḌa tha so ḳhvab tha
pahle zamin ḳhaak hui thi ba-sad-niyaz
shab bhar phir asman jala tha so ḳhvab tha
ik nahr thi jo chiḳh rahi thi bahav se
lashkar kanar-e-ab khaḌa tha so ḳhvab tha
basti ka chashm-did akela gavah huun
kal mere as-pas ḳhuda tha so ḳhvab tha
Duubi zaval-e-sham ke hamrah har ummid
palkon se TuuT kar jo gira tha so ḳhvab tha
dil ko yaqin na zehn ke hadd-e-qayas men
jo vaqi.a ‘mujibi’ hua tha so ḳhvab tha
Leave a Reply