kaha din ko bhi ye ghar kis liye viran rahta hai
yahan kya ham sa koi be-sar-o-saman rahta hai
dar-o-divar sannate ki chadar men hain khvabida
bhala aisi jagah zinda koi insan rahta hai
musalsal puchhne par ek chilman se javab aaya
yahan ik dil-shikasta sahab-e-divan rahta hai
jhijak kar main ne puchha kya kabhi bahar nahin aata
javab aaya use khalvat men itminan rahta hai
kaha kya us ke rishta-dar bhi milne nahin aate
javab aaya ye sahra rat-din sunsan rahta hai
kaha koi to hoga us ke dukh-sukh bantne vaala
javab aaya nahin khali ye ghar ye lawn rahta hai
kaha is ghar ke angan men hain kuchh phulon ke paude bhi
javab aaya ki khali phir bhi har gul-dan rahta hai
kaha kya is mohalle men nahin pursan-e-hal us ka
javab aaya khayal us ka mujhe har aan rahta hai
khuda ka shukr hai ham ik faza men saans lete hain
agar milte nahin itna to itminan rahta hai
Leave a Reply