dil si virani men saaya koi mehman to hai
apne ḳhvabon se mulaqat ka imkan to hai
kuchh na kuchh nazr to karna hai tire jalve ko
aur daulat na sahi koi dil-o-jan to hai
kya milega hamen ab us ki pashemani se
bevafa.i pe koi apni pasheman to hai
yuun na ho ḳhud se nibhana tumhen mushkil ho jaa.e
ham ko nazron se girana bahut asan to hai
qafile valon ko gumrahi ka ehsas hua
kam se kam ab kisi anjam ka imkan to hai
Leave a Reply