• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chal paDe Hum Dasht-E-Be-Saya Bhi Jangal Ho Gaya

Chal paDe Hum Dasht-E-Be-Saya Bhi Jangal Ho Gaya

poet

chal paḌe ham dasht-e-be-saya bhi jangal ho gaya

ham-safar jab mil ga.e jangal men mangal ho gaya

main tha baghi ḳhushk qatra badalon ke des ka

sang-dil lamhon se Takraya to jal-thal ho gaya

haan utar aati hain is vaadi men pariyan chand ki

kahte hain ik ajnabi sayyah pagal ho gaya

ras bhari barsat men khilne laga dharti ka ruup

jism ka akash us ḳhushbu se bekal ho gaya

duur khiski ja rahi hai paanv ke niche zamin

sar ke uupar asman a.ankhon se ojhal ho gaya

kitne qarnon ne tarasha us but-e-bedard ko

kitni naslon ka lahu us jism men hal ho gaya

umr bhar donon ko qaid-e-bahami ki di saza

vo jo ighva ka muqadma tha so faisal ho gaya

har nafas hai sang-bari dil ke kachche ghaav par

lamha lamha zindagi ka kitna bojhal ho gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Rakkhe Charagh Taq Par Sare Bujhe Hue

Ja Nahin Sakti Jidhar Jaane Ko Ji Chahta Hai

Lutf Ho Hashr Mein Kuchh Baat Banae Na Bane

poet

Un Ke Aate Hi Main Ho Jata Hun Be-KHud Itna

sahir-ludhianvi

Nazar Se dil Mein Samane Wale Meri Mohabbat Tere Liye Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet