main kaha bolna shab ghair se tha tum ko kya
muskura kahne laga shauq mira tum ko kya
jo kaha main ki bure taur nikale tum ne
pher kar munh ko laga kahne bhala tum ko kya
shikva us but ke jafa ka jo kiya main to kaha
tum to duniya men ho ik ahl-e-vafa tum ko kya
dard-e-sar dushmanon ke un ke hua raat so main
juun hi ghabra ke ye puchha to kaha tum ko kya
taan kar munh pe dupatta ba-dam-e-sard kaha
tum lage puchhne kyuun haal mira tum ko kya
har ghadi tum jo malamat mujhe karte ho ‘havas’
aap main dam-e-mohabbat men phansa tum ko kya
Leave a Reply