Ye Jo Rabt Ru-Ba-Zawal Hai Ye Sawal Hai

ye jo rabt rū-ba-zavāl hai ye savāl hai

mujhe is kā kitnā malāl hai ye savāl hai

ye jo sar pe mere vabāl hai ye savāl hai

ye jo gird-o-pesh kā haal hai ye savāl hai

mujhe kyā ġharaz mire dushmanoñ kā hadaf hai kyā

mire paas kaun sī Dhaal hai ye savāl hai

mire saare ḳhvāb haiñ mo’tabar maiñ huuñ dar-ba-dar

ye uruuj hai ki zavāl hai ye savāl hai

mire haath shal mire paañv shal mirī aql gum

koī aur itnā niDhāl hai ye savāl hai

mirā maazī kitnā amiir thā maiñ ġharīb huuñ

koī ye bhī māzī-o-hāl hai ye savāl hai

koī hai jo mujh sā aziim ho jo fahīm ho

ye savāl koī savāl hai ye savāl hai

na.e ahd kī ye taraqqīyāñ ye tajalliyāñ

koī is meñ merā kamāl hai ye savāl hai

vo sadā na thī vo to jazb thā vo to ishq thā

mirī saf meñ koī bilāl hai ye savāl hai

Leave a Comment