• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Wo Ishq Jo Hum Ko Lahiq Tha

Wo Ishq Jo Hum Ko Lahiq Tha

sajida-zaidi

vo ishq jo ham ko lahiq tha

shab-ha-e-siyah ke daman men

asrar junun ke khol gaya

bahr-e-maujud ke markaz se

ik mauj-e-talatum-khez utthi

ik dard ki lahar uthi dil ke rauzan se

jis men simat gae

donon aalam ke ranj o tarab

aur hast-o-bud ke mahvar par

ranj o rahat ham-raqs hue

furqat ke tanha lamhon men

abad thi ik duniya-e-fusun

raftar-e-gham ki mauj-e-ravan

avara bagule yadon ke

barish ki maddham bundon ke

sargam ki faravan mausiqi

ashjar ki raqsan shakhon se

chhanta hua fitrat ka jaadu

duniya-e-nashat-o-dard ki lai

andoh o alam ka ik aalam

takhliq ke larzan siine ke asrar-e-nihan

naghma-bar-lab ye arz o sama

nauha dard-e-dil batin ki faza

takhliq jahan ke sar nihan

patte patte ki rangat men

harf kin ka jaadu larzan

sab ik vahdat men jazb hue

ik vajd agin ehsas men

ruuh o jism o jaan malbus hue

vaqt aur makan ke sirr-e-nihan malbus hue

is ishq se ye asrar khula

ham zinda hain aur rah-e-fana men jaulan hain

ik roz ye dil bujh jaega

bas nur-e-khuda rah jaega

vo ishq jo ham ko lahiq tha

asrar-e-vajud o ramz-e-adam sab khol gaya

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

akbar-hyderabadi

dil daba Jata Hai Kitna Aaj Gham Ke Bar Se

anjum-rehbar

Rang Is Mausam Mein Bharna Chahiye

bilqis-zafirul-hasan

diwar-O-dar Mein Simta Ek Lams Kanpta Hai

poet

Husn Jab Qatil Na Tha Aur Ishq Diwana Na Tha

poet

luT Jaegi Hayat Na Thi Ye KHabar Mujhe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet