dil kasu se to kya lagana tha
ham ko manzur ji se jaana tha
astan tha vo astana-e-ishq
kaaT kar sar jahan chaḌhana tha
diid ko tere aa.e the ham yaan
zindagi ka faqat bahana tha
nikle vo aah apne dushman-e-jan
ham ne jin jin ko dost jaana tha
jis zamane men ham hue the ḳhalq
haa.e vo kya bura zamana tha
kyuun diya us pari ko dil tu ne
kya tu ai ‘muntazir’ divana tha
Leave a Reply