kar-e-mushkil hi kiya duniya men gar main ne kiya
par na us be-rahm ke dil men guzar main ne kiya
dil men laila-e-tamanna paanv chhalni tez dhuup
kis qayamat ka safar tha jo safar main ne kiya
tera apna rasta tha mera apna rasta
is pe bhi ai zindagi tujh ko basar main ne kiya
muskura kar us ne jab bahen gale men Daal diin
phir jo us se ranj tha sarf-e-nazar main ne kiya
zinda the dushman to mujh ko bazuon pe naaz tha
aankh ko un ke guzar jaane pe tar main ne kiya
chashm-e-kam se dekhta tha mujh ko aḳhir ek din
us ke zo.am-e-ḳham ko zer-o-zabar main ne kiya
harf us ke qamat-e-tahsin pe sajte hi ga.e
‘shahid’ un ko is tarah harf-e-hunar main ne kiya
Leave a Reply