ai kaash ho barsat zara aur zara aur
baḌh jaa.e mulaqat zara aur zara aur
hathon men tira haath ye kaafi to nahin hai
mil jaa.en ḳhayalat zara aur zara aur
khalti hai ye tanha.i to duuri bhi miTa de
tu maan miri baat zara aur zara aur
bujhti hai kahan pyaas ab ankhon se pila kar
de pyaar ki saughat zara aur zara aur
halat huun hamvar to kya fikr hai lekin
mushkil men munajat zara aur zara aur
jab pyaar se milta hai to bharta hai kahan dil
ulfat se bhari raat zara aur zara aur
Leave a Reply