• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dil Tujhe Naz Hai Jis Shakhs Ki dildari Par

dil Tujhe Naz Hai Jis Shakhs Ki dildari Par

saleem-kausar

dil tujhe naaz hai jis shakhs ki dildari par

dekh ab vo bhi utar aaya adakari par

main ne dushman ko jagaya to bahut tha lekin

ehtijajan nahin jaaga miri bedari par

aadmi aadmi ko khaae chala jaata hai

kuchh to tahqiq karo is nai bimari par

kabhi is jurm pe sar kaat diye jaate the

ab to inaam diya jaata hai ghaddari par

teri qurbat ka nasha tuut raha hai mujh men

is qadar sahl na ho tu miri dushvari par

mujh men yuun taaza mulaqat ke mausam jaage

aaina hansne laga hai miri tayyari par

koi dekhe bhare bazar ki virani ko

kuchh na kuchh muft hai har shai ki kharidari par

bas yahi vaqt hai sach munh se nikal jaane do

log utar aae hain zalim ki taraf-dari par

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

allama-iqbal

Farishte Aadam Ko Jannat Se Rukhsat Karte Hain

nida-fazli

Rukhsat Hote Waqt

Aap Jaison Ke Liye isMein Rakha Kuchh Bhi Nahin

Sham Achchhi Hai Na Sahar Achchhi

Kuchh Ishaare Wo Sar-E-Bazm Jo Kar Jate Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet