yaqin shart hai aur lazmi hain tadbiren
har ek lamha badalti rahengi taqdiren
sabhi charagh bujha do hua hai dil raushan
dikha.i dene lagi hain tamam tahriren
zara sa vaqt lagega qadam uThane men
abhi abhi to kaTi hain saqil zanjiren
vo ḳhvab kuchh bhi nahin hain faqat tamasha hain
vo ḳhvab jin ki nahin janta main ta.abiren
mire qalam ka safar le gaya sitaron tak
mire buzurg ki ab bhi vahi hain tahriren
hamari jang men ‘javed’ ḳhuun nahin bahta
hamare paas hain fikr-o-nazar ki shamshiren
Leave a Reply