Usne KHud Phone Pe Ye Mujhse Kaha Achchha Tha

us ne ḳhud phone pe ye mujh se kahā achchhā thā

dāġh-e-bosa vo jo kañdhe pe milā achchhā thā

pyaas ke haq meñ mire hoñT duā karte the

pyaas kī chaah meñ ab jo bhī milā achchhā thā

niiñd bal khātī huī aa.ī thī nāgin kī tarah

kaaT bhī letī agar vo to baḌā achchhā thā

yuuñ to kitne hī ḳhudā aa.e mire raste meñ

maiñ ne ḳhud hī jo banāyā thā ḳhudā achchhā thā

vo jo nuqsān kī mānind mujhe lagtā hai

sach to ye hai ki vahī ek nafā achchhā thā

dil kī tārīk sī galiyoñ meñ tumhārī aahaT

aur aahaT se jo ik phuul khilā achchhā thā

jism ko yaad kiyā kartī hai ab ruuh mirī

aur kahtī hai ki vo baaġh amā achchhā thā

log kahte haiñ ki vo shaḳhs burā thā lekin

dil to kahtā hai ki vo shaḳhs baḌā achchhā thā

Leave a Comment