avval vahi sairab tha saani bhi vahi tha
patthar se guzarta hua paani bhi vahi tha
nau-ḳhez duaon ka shajar-kar bhi nikla
bosida tamannaon ka baani bhi vahi tha
ankhon pe jo rakhta raha rumal-e-tasalli
nam-dida-gar-e-naql-e-makani bhi vahi tha
ayat-e-irada pe vahi nuur ki ungli
auraq-siyah-tar ka giyani bhi vahi tha
kaukab sa damakta tha dhuen men gul-e-shisha
arzang bichha.e hue maani bhi vahi tha
‘tafzil’ tha ik amad-o-ilham ka sha.ir
baaqi vahi urdu men hai faani bhi vahi tha
Leave a Reply