• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Nibhao Ab Use Jo Waza Bhi Bana Li Hai

Nibhao Ab Use Jo Waza Bhi Bana Li Hai

nibhao ab use jo vaz.a bhi bana li hai

vagarna dahr to ahl-e-vafa se ḳhali hai

harim-e-dil men tiri aarzu ne raushan ki

vo aag jis ne shab-e-zindagi ujali hai

tiri nigah-e-karam hai vagarna ai gham-e-dost

zamana kya tire shaida.iyon se ḳhali hai

sitam hai meri taraf pyaar se nazar na kare

vo but ki jis men mire fan ne jaan Daali hai

baja ki husn ka ehsas hai fareb-e-nazar

magar vo naqsh jo dil men hai kab ḳhayali hai

ufuq se gard chhaTe to ḳhabar mile shayad

sahar tulu hui hai ki hone vaali hai

ab ahl-e-bazm gham-e-tirgi karen to karen

hamare paas to jo sham.a thi jalali hai

hava ke dosh pe uḌti hui ḳhabar to suno

hava ki baat bahut duur jaane vaali hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Duniya Ki Saltanat Mein KHuda Ke KHilaf Hain

Mansab Na Kulah Chahta Hun

Qabil-E-Sharh Mera Haal-E-Dil-E-Zar Na Tha

Dhup Ke Zard Jaziron Mein Numu Zinda Hai

Kaisi Sohbat Hai Kaisi Tanhai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet