havadis par na ai nadan nazar kar
qaza se jang be-ḳhauf-o-ḳhatar kar
muafi bhi saza se kam nahin hai
bas ab is darguzar se darguzar kar
jahan Duubi thi kashti aarzu ki
usi girdab men nikli ubhar kar
kabhi to ma.il-e-tark-e-sitam ho
kabhi mujh par karam ki bhi nazar kar
guzara to yahan mushkil hai ai dil
magar ab jis tarah bhi ho guzar kar
vo mujh ḳhunin-kafan se puchhte hain
kahan jaane lage ho ban-sanvar kar
vahi hasti ka chakkar hai yahan bhi
bhanvar hi men rahe ham paar utar kar
miri muḳhtariyon ke saath ya-rab
miri majburiyon par bhi nazar kar
na.e aalam idhar bhi hain udhar bhi
yahi dekha do-alam se guzar kar
bayan-e-dard-e-dil ai ‘josh’ kab tak
ḳhuda-ra ab ye qissa muḳhtasar kar
Leave a Reply