bashar ko mash.al-e-iman se agahi na mili
dhuan vo tha ki nigahon ko raushni na mili
ḳhushi ki ma.arifat aur gham ki agahi na mili
jise jahan men mohabbat ki zindagi na mili
jigar na tha ki koi phans si chubhi na mili
jahan ki ḳhaak uḌaa.i kahin ḳhushi na mili
ye kah ke aḳhir-e-shab sham.a ho ga.i ḳhamosh
kisi ki zindagi lene se zindagi na mili
labon pe phail ga.i ek mauj-e-gham akasr
bichhaḌ ke tujh se hansi ki tarah hansi na mili
tavaf-e-sham.a patangon ka jal ke bhi hai vahi
jigar ki aag se ankhon ko raushni na mili
sabat pa na sakega koi nizam-e-chaman
fasurda ghunchon ko jis men shaguftagi na mili
falak ke taron se kya duur hogi zulmat-e-shab
jab apne ghar ke charaghon se raushni na mili
abhi shabab hai kar luun ḳhata.en ji bhar ke
phir is maqam pe umr-e-ravan mili na mili
vo qafile ki falak jin ke paanv ka tha ghubar
rah-e-hayat se bhaTke to gard bhi na mili
vo tira-baḳht haqiqat men hai jise ‘mulla’
kisi nigah ke saa.e ki chandni na mili
Leave a Reply