• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Khinchi Hai Tasawwur Mein Taswir-e-Ham-Aghoshi

Khinchi Hai Tasawwur Mein Taswir-e-Ham-Aghoshi

Bedam Shah Warsi

khinchi hai tasavvur men tasvir-e-ham-aghoshi

ab hosh na aane de mujh ko miri be-hoshi

pa jaana hai kho jaana kho jaana hai pa jaana

be-hoshi hai hushyari hushyari hai be-hoshi

main saz-e-haqiqat huun dam-saz-e-haqiqat huun

khamoshi hai goyai goyai hai khamoshi

asrar-e-mohabbat ka iz.har hai na-mumkin

tuuta hai na tutega qufl-e-dar-e-khamoshi

har dil men tajalli hai un ke rukh-e-raushan ki

khurshid se hasil hai zarron ko ham-aghoshi

jo sunta huun sunta huun main apni khamoshi se

jo kahti hai kahti hai mujh se miri khamoshi

ye husn-faroshi ki dukan hai ya chilman

nazzara ka nazzara ruposhi ki ruposhi

yaan khaak ka zarra bhi laghzish se nahin khali

mai-khana-e-duniya hai ya alam-e-be-hoshi

haan haan mire isyan ka parda nahin khulne ka

haan haan tiri rahmat ka hai kaam khata-poshi

is parde men poshida laila-e-do-alam hai

be-vaj.h nahin ‘bedam’ kaabe ki siyah-poshi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Sufi Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hamare KHwab Hamari Pasand Hote Gae

poet

Pila Saqiya Mai-Khunuk Aab Mein

Main Pahle Barf Sa thoDa Pighal Ke Dekhunga

poet

dekhi dil de Ke Qadr-dani

Dar Raha Hun Na KHauf Kha Raha Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet