aane vaali thi khizan maidan khali kar diya
kal hava-e-shab ne saara lawn khali kar diya
ham tire khvabon ki jannat se nikal kar aa gae
dekh tera qasr-e-ali-shan khali kar diya
dushmanon ne shust bandhi khema-e-ummid par
doston ne darra-e-imkan khali kar diya
bantne nikla hai vo phulon ke tohfe shahr men
is khabar par ham ne bhi gul-dan khali kar diya
le gaya vo saath apne dil ki saari raunaqen
kis qadar ye shahr tha gunjan khali kar diya
saari chidiyan ud gaiin mujh ko akela chhod kar
mere ghar ka sehn aur dalan khali kar diya
diary men saare achchhe sher chun kar likh liye
ek ladki ne mira divan khali kar diya
Leave a Reply