jo kho chuke hain vo manzar talash karti huun
bikhar ga.e hain jo paikar talash karti huun
kabhi talash jo karna ho apna aap mujhe
to us ki zaat ke andar talash karti huun
bichhaḌ ga.i huun main us se magar nahin bichhḌi
jo band us ne kiye dar talash karti huun
kabhi jo had se guzar jaa.e dukh to hansti huun
ḳhushi nahin jo mayassar talash karti huun
qarib rah ke bhi karti rahi thi qurb talash
main chahaton ke hi zevar talash karti huun
ye aarzu hai sanam ko qarib-tar dekhun
so regzar men patthar talash karti huun
karungi us ka tavaf umr bhar main bas ‘shahin’
ab apna markaz-o-mehvar talash karti huun
Leave a Reply