kisi ka aks-e-badan tha na vo sharara tha
to main ne khema-e-shab se kise pukara tha
kahan kisi ko thi fursat fuzul baton ki
tamam raat vahan zikr bas tumhara tha
makan men kya koi vahshi hava dar aai thi
tamam pairahan-e-khvab paara paara tha
usi ko bar-e-digar dekhna nahin tha mujhe
main laut aaya ki manzar vahi dobara tha
subuk-sari ne girani ajiib ki dil par
hai ab ye bojh ki vo bojh kyuun utara tha
shab-e-siyah safar ye bhi raegan to nahin
vo kya hua jo mire saath ik sitara tha
Leave a Reply