• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ada Se aaD Mein KHanjar Ke Munh Chhupae Hue

Ada Se aaD Mein KHanjar Ke Munh Chhupae Hue

ada se aaḌ men ḳhanjar ke munh chhupa.e hue

miri qaza ko vo laa.e dulhan bana.e hue

ilahi kyuun nahin hoti koi bala nazil

asar hai der se dast-e-dua uTha.e hue

tiri laga.i hui aag hashr tak na bujhi

hue na mar ke bhi ThanDe tire jala.e hue

bala-e-jan hai magar phir bhi aarzu hai tiri

ham us ko apne kaleje se hain laga.e hue

sahar hui ki vo yadash-ba-ḳhair aata hai

charagh hain miri turbat ke jhilmila.e hue

tumhin kaho ki tumhen apna samajh ke kya paaya

magar yahi ki jo apne the sab para.e hue

kisi ka haa.e vo maqtal men is tarah aana

nazar bacha.e hue astin chaḌha.e hue

ajal ko muzhda-e-fursat ki aaj ‘fani’-e-zar

umid-e-vasl se baiTha hai lau laga.e hue

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Bala Jaane Kisi Ki Hijr Mein Is dil Pe Kya Guzri

ahmad-ashfaq

Jitni Hum Chahte The Utni Mohabbat Nahin di

Ghane Andhere Mein Raushni Ki Kali Khili Hai Bahut Bhali Hai

Kisi Ne Bheja Hai KHat Pyar Aur Wafa Likh Kar

Ab Mulaqat Kahan Shishe Se Paimane Se

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet