yaar rutha hai mira us ko manaun kis tarah
minnaten kar paanv pad us ke le aauun kis tarah
jab talak tum ko na dekhun tab talak bechain huun
main tumhare paas har saaat na aauun kis tarah
dil dhadakta hai mabada uth ke deve galiyan
yaar sota hai mira us ko jagaun kis tarah
bulbulon ke haal par aata hai muj ko rahm aaj
daam se sayyad ke un ko chhudaun kis tarah
yaar banka hai mira chhut tegh naiin karta hai baat
us se ai ‘taban’ main apna ji bachaun kis tarah
Leave a Reply