ki ḳhuub vafa ham se li ḳhuub ḳhabar tu ne
din-rat sitam Dhaa.e ai bani-e-shar tu ne
kya ham ne bigaḌa hai kyuun ham ko satata hai
kyuun zulm par ai zalim bandhi hai kamar tu ne
ai maut ta.ajjub hai jo zinat-e-gulshan hai
kaaTe vo shajar tu ne toḌe vo samar tu ne
allah ke bandon par ai but ye sitam tere
rakkha na qayamat ka kuchh ḳhauf-o-ḳhatar tu ne
is teri banavaT se hai saaf hamen zahir
ashiq ke miTane par bandhi hai kamar tu ne
be-kar hain ye naale be-sud hain ye aahen
khincha na agar un ko ai jazb-e-asar tu ne
dil mera jalaya kya afsos hazar afsos
barbad kiya ai but allah ka ghar tu ne
jo ba.ad-e-fana tere kuchh kaam nahin aaya
kyuun jam.a kiya mun.im vo maal vo zar tu ne
ham dard-e-mohabbat se taḌpa hi kiye lekin
allah re bedardi dekha na idhar tu ne
‘sabir’ ye himaqat hai hai ye tiri nadani
apne ko jo samjha hai har ek se dar tu ne
main sabr ka ḳhugar huun hai naam mira ‘sabir’
jabir hai to paaya hai patthar ka jigar tu ne
Leave a Reply