vaan kamar bandhe hain mizhgan qatl par donon taraf
yaan saf-e-ushshaq hain zer-o-zabar donon taraf
zulf ka sar-basta kucha maang ka rasta hai tang
dil tiri shamat hai mat ja be-ḳhatar donon taraf
dair-o-ka.aba men tafavut ḳhalq ke nazdik hai
shahid-e-ma.ani ka har surat hai ghar donon taraf
hai vo dariya men nahata main huun gharq-e-ab-e-sharm
kuchh ajab ik majra hai Turfa-tar donon taraf
ishq vo hai jis ke hathon qumri o bulbul ke aah
zer-e-sarv-o-gul paḌe hain bal-o-par donon taraf
chashm men kya nuur hai dil men bhi us ka hai zuhur
zahir-o-batin vahi hai jalva-gar donon taraf
amad-o-shud men hai dekhi sair-e-basti-o-adam
ham ko is mehman-sara men hai safar donon taraf
sham.a kuchh jalti nahin parvana bhi deta hai ji
sozish-e-ulfat se hai ji ka zarar donon taraf
panja-e-mizhgan pe rakhkhun kyuun na main dil aur jigar
nazr ko laaya huun teri kar nazar donon taraf
dil men gar aata hai to aa jan-e-man ankhon ki raah
is makan-e-dil-kusha ke hain ye dar donon taraf
kuchh habab o bahr men mat farq samjho ai ‘nasir’
dekho Tuk chashm-e-haqiqat khol kar donon taraf
Leave a Reply