• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Nikhaton Ki Narm-Rawi Ye Hawa Ye Raat

Ye Nikhaton Ki Narm-Rawi Ye Hawa Ye Raat

ye nik.haton ki narm-ravi ye hava ye raat

yaad aa rahe hain ishq ko TuuTe ta.alluqat

mayusiyon ki god men dam toḌta hai ishq

ab bhi koi bana le to bigḌi nahin hai baat

kuchh aur bhi to ho in isharat ke siva

ye sab to ai nigah-e-karam baat baat baat

ik umr kaT ga.i hai tire intizar men

aise bhi hain ki kaT na saki jin se ek raat

ham ahl-e-intizar ke aahaT pe kaan the

ThanDi hava thi gham tha tira Dhal chali thi raat

yuun to bachi bachi si uThi vo nigah-e-naz

duniya-e-dil men ho hi ga.i koi vardat

jin ka suragh pa na saki gham ki ruuh bhi

nadan hue hain ishq men aise bhi sanehat

har sa.i o har amal men mohabbat ka haath hai

ta.amir-e-zindagi ke samajh kuchh muharrikat

us ja tiri nigah mujhe le ga.i jahan

leti ho jaise saans ye be-jan ka.enat

kya niind aa.e us ko jise jagna na aa.e

jo din ko din kare vo kare raat ko bhi raat

dariya ke madd-o-jazr bhi paani ke khel hain

hasti hi ke karishme hain kya maut kya hayat

ahl-e-raza men shan-e-baghavat bhi ho zara

itni bhi zindagi na ho paband-e-rasmiyat

ham ahl-e-gham ne rang-e-zamana badal diya

koshish to ki sabhi ne magar ban paḌe ki baat

paida kare zamin na.i asman naya

itna to le koi asar-e-daur-ka.enat

sha.ir huun gahri niind men hain jo haqiqaten

chaunka rahe hain un ko bhi mere tavahhumat

mujh ko to gham ne fursat-e-gham bhi na di ‘firaq’

de fursat-e-hayat na jaise gham-e-hayat

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Inko KHala Mein Koi Nazar Aana Chahiye

Jab Jab Tumhein Bhulaya Tum Aur Yaad Aae

kaT Gaya Rishtha-E-Ulfat Jo Tera Nam Aaya

momin-khan-momin

Wada-E-Waslat Se dil Ho Shad Kya

poet

Dab Gai Kyun Meri Aawaz Kaho to Kah Dun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet