rukh jo zer-e-sumbul-e-pur-pech-o-tab aa jaega
phir ke burj-e-sumbule men aftab aa jaega
tera ehsan hoga qasid gar shitab aa jaega
sabr mujh ko dekh kar khat ka javab aa jaega
ho na betab itna gar us ka itaab aa jaega
tu ghazab men ai dil-e-khana-kharab aa jaega
is qadar rona nahin behtar bas ab ashkon ko rok
varna tufan dekh ai chashm-e-pur-ab aa jaega
pesh hovega agar tere gunahon ka hisab
tang zalim arsa-e-roz-e-hisab aa jaega
dekh kar dast-e-sitam men teri tegh-e-abdar
mere har zakhm-e-jigar ke munh men aab aa jaega
apni chashm-e-mast ki gardish na ai saaqi dikha
dekh chakkar men abhi jam-e-sharab aa jaega
khuub hoga haan jo siine se nikal jaega tu
chain mujh ko ai dil-e-pur-iztirab aa jaega
ai ‘zafar’ uth jaega jab parda-e-sharm-o-hijab
samne vo yaar mere be-hijab aa jaega
Leave a Reply