dhuup nayab hui jaati hai
chhanv be-tab hui jaati hai
paani dariya men nahin hai lekin
basti gharqab hui jaati hai
gir ga.i os badan par kaisi
ruuh sairab hui jaati hai
main kisi raat ka sannaTa huun
vo koi ḳhvab hui jaati hai
barf kya duur giri hai ‘farhat’
naddi payab hui jaati hai
Leave a Reply