duniya ko ru-shanas-e-haqiqat na kar sake
ham jitna chahte the mohabbat na kar sake
saman-e-gul-faroshi-e-rahat na kar sake
rahat ko ham sharik-e-mohabbat na kar sake
yuun kasrat-e-jamal ne luuTi mata-e-did
taskin-e-tishna-kami-e-hairat na kar sake
ab ishq-e-ḳham-kar hi arman ko de javab
ham un ko be-qarar-e-mohabbat na kar sake
be-mehriyon se kaam raha go tamam-umr
be-mehriyon ko sahne ki aadat na kar sake
kuchh aisi iltifat-numa thi nigah-e-dost
hote rahe tabah shikayat na kar sake
nakamiyan to farz ada apna kar ga.iin
ham hain ki e’tiraf-e-hazimat na kar sake
faḳhr-e-munasibat men tira naam le liya
ham ḳhud hi parda-dari-e-ulfat na kar sake
har-chand hal-e-dida-o-dil ham kaha kiye
tashrih-e-kaifiyat-e-mohabbat na kar sake
aflak par to ham ne bana.in hazar-ha
ta.amir koi dahr men jannat na kar sake
hamsa.egi-e-zahid-e-bad-ḳhu ke ḳhauf se
parvardigar teri ibadat na kar sake
Leave a Reply