
Poet
saz-e-dil tishna-e-mizrab-e-tamanna na raha
dida-e-shauq tamasha hai tamasha na raha
dil raha dil men magar josh-e-tamanna na raha
anjuman rah ga.i aur anjuman-ara na raha
hai vahi tuur vahi barq vahi shan-e-jamal
haan koi aag se ab khelne vaala na raha
daman-e-mauj bhi hathon se chhuTa jaata hai
Dubne vaale ko tinke ka sahara na raha
aaj vo sar tire qadmon pe jhuka jaata hai
jo haram men bhi kabhi nasiya-farsa na raha
yak-ba-yak yuun na sar-e-bazm uThani thi naqab
jalve betab hain aur dekhne vaala na raha
rah ga.i aankh bhi kuchh ashk baha kar ḳhamosh
ya.ani dil qabil-e-iz.har-e-tamanna na raha
dil kahin tha kahin nazren thiin ḳhayalat kahin
main raha bazm men is tarah ki goya na raha
muzhda-e-vasl suna kar bhi use dekh liya
tira divana har ik haal men divana raha
yuun to har ek se kahte the fasana dil ka
us ne jab puchha to phir kahne ka yaara na raha
phir bhi kuchh dil ko tasalli si to hoti hai ‘munir’
go kabhi muntazir-e-va.ada-e-farda na raha

Leave a Reply