dasht men vadi-e-shadab ko chhu kar aaya
main khuli-ankh hasin khvab ko chhu kar aaya
us ko chhu kar mujhe mahsus hua hai aise
jaise main resham-o-kim-khvab ko chhu kar aaya
mujh ko malum hai poron ke damakne ka javaz
raat main khvab men mahtab ko chhu kar aaya
jism ke saath miri ruuh bhi nam hone lagi
jab se us dida-e-pur-ab ko chhu kar aaya
ruuh ki kaai isi taur se chhatna thi so main
sub.h-dam mimbar-o-mehrab ko chhu kar aaya
murtaish kirnon ka raqs ek ghadi bhi na thame
chand kis tarz ke talab ko chhu kar aaya
Leave a Reply