us pe kya guzregi vaqt marg andaza laga
muntashir hasti ka apni jis ko shiraza laga
auliya-allah ki chaukhat ke bhi adab hain
sar utha kar jo bhi aaya us ko darvaza laga
nuur ki chadar tani hai yuun faza-e-dahr par
jaise taare todne ko dast-e-khamyaza laga
jaane kis andaz se us shokh ne daali nazar
jo purana zakhm tha vo bhi hamen taaza laga
mai-kade ka ek hi dam men badal jaae nizam
su-e-mai-khana bhi ‘asi’ aisa avaza laga
Leave a Reply