• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aatish-E-Bagh Aisi Bhadki Hai Ki Jalti Hai Hawa

Aatish-E-Bagh Aisi Bhadki Hai Ki Jalti Hai Hawa

poet

atish-e-bagh aisi bhadki hai ki jalti hai hava

kucha-e-gul se dhuan ho kar nikalti hai hava

girya-e-ushshaq se kichad hai aise ja-ba-ja

thaam kar divar-o-dar galiyon men chalti hai hava

gulshan-e-alam ki nairangi se hota hai yaqin

phir shagufa phulta hai phir badalti hai hava

dekhiye ja kar zara kaifiyyat-e-josh-e-bahar

jhumte hain ped gir gir kar sambhalti hai hava

na-rasai dekhna udta hai jab mera ghubar

yaar ke kothe ki kanis se phisalti hai hava

garmiyon men sair gulzaron ki bhati hai mujhe

har qadam par pankhiya phulon ki jhalti hai hava

‘bahr’ pankha haath se rakh do nihayat zaar huun

mauj-e-dariya ki tarah mujh ko kuchalti hai hava

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Rah Ki Kuchh to rukawaT Yar Kam Kar Dijiye

Mata-E-Ishq Zara Aur Sarf-E-Naz to Ho

akhtar-bastavi

Chehron Ki Be-Chehragi

Ab Yahi Saya-E-Diwar Mera Ghar Thahra

Pal Pal Jine Ki KHwahish Mein Karb-E-Sham-O-Sahar Manga

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet