nigah-e-lutf mat uth khugar-e-alam rahne de
hamen nakam rahna hai hamen nakam rahne de
kisi maasum par be-dad ka ilzam kya maani
ye vahshat-khez baten ishq-e-bad-anjam rahne de
abhi rahne de dil men shauq-e-shorida ke hangame
abhi sar men mohabbat ka junun-e-kham rahne de
abhi rahne de kuchh din lutf-e-naghma masti-e-sahba
abhi ye saaz rahne de abhi ye jaam rahne de
kahan tak husn bhi akhir kare pas-e-rava-dari
agar ye ishq khud hi farq-e-khas-o-am rahne de
ba-in rindi ‘majaz’ ik shaer-e-mazdur-o-dahqan hai
agar shahron men vo bad-nam hai bad-nam rahne de
Leave a Reply