kuchh bhi ho ye to mire yaar nahin ho sakta
main tira hashiya-bardar nahin ho sakta
dil se tum ja to rahe ho magar itna sun lo
ye daricha kabhi divar nahin ho sakta
rasm-e-iz.har-e-mohabbat men zaruri hi sahi
ye tamasha sar-e-bazar nahin ho sakta
vasl ki chaah karun hijr men bhi aah bharun
ye mire ishq ka me.aar nahin ho sakta
apni tarif suni hai to ye sach bhi sun le
tujh se achchha tira kirdar nahin ho sakta
Leave a Reply