jangalon men justuju-e-qais-e-sahrai karun
kab talak dhundun kahan tak jada-paimai karun
gar koi maane na ho vaan sajda karne ka mujhe
astan-e-yar par barson jabin-sai karun
bazm-e-hasti men nahin juz bekasi apna rafiq
kis ki khatir dosto main mahfil-arai karun
gharat-e-dil ka jo karta hai irada tark-e-chashm
ghamza kahta hai main taraj shakebai karun
le gae jab tere divane ko iisa ne kaha
har ghadi main kya ilaj-e-mard-e-saudai karun
ashna koi nazar aata nahin yaan ai ‘havas’
kis ko main apna anis-e-kunj-e-tanhai karun
Leave a Reply