makan andar se ḳhasta ho gaya hai
aur is men ek rasta ho gaya hai
unhen manzur karna hi paḌega
ariza dast-basta ho gaya hai
siyasi rahnumaon ki badaulat
hamara ḳhuun sasta ho gaya hai
kaman-e-jism hai maujud lekin
shabab ik tir-e-jasta ho gaya hai
zubun hai is qadar duniya ki halat
hamara gham bhi ḳhasta ho gaya hai
shikasta aur paspa ‘kirshn’ mohan
hamara fauji dasta ho gaya hai
Leave a Reply