Mumkin Hi Na Thi KHud Se Shanasai Yahan Tak

mumkin hī na thī ḳhud se shanāsā.ī yahāñ tak

le aayā mujhe merā tamāshā.ī yahāñ tak

rasta ho agar yaad to ghar lauT bhī jā.ūñ

laa.ī thī kisī aur kī bīnā.ī yahāñ tak

shāyad tah-e-dariyā meñ chhupā thā kahīñ sahrā

merī hī nazar dekh nahīñ paa.ī yahāñ tak

mahfil meñ bhī tanhā.ī ne pīchhā nahīñ chhoḌā

ghar meñ na milā maiñ to chalī aa.ī yahāñ tak

sahrā hai to sahrā kī tarah pesh bhī aa.e

aayā hai isī shauq meñ saudā.ī yahāñ tak

ik khel thā aur khel meñ sochā bhī nahīñ thā

juḌ jā.egā mujh se vo tamāshā.ī yahāñ tak

ye umr hai jo us kī ḳhatā-vār hai ‘shāriq’

rahtī hī nahīñ bātoñ meñ sachchā.ī yahāñ tak

Leave a Comment