ab tak lahu ka za.iqa ḳhanjar pe naqsh hai
ye kis ka naam dast-e-sitam-gar pe naqsh hai
barish bhi aftab ka daman na dho saki
kuchh gard ab bhi dhuup ke shahpar pe naqsh hai
tera hi aks raat ke a.ine men asiir
tera hi ḳhvab niind ke bistar pe naqsh hai
jis ko tire labon ka tasavvur na dho sake
vo talḳhi-e-hayat bhi saghar pe naqsh hai
angan se dastakon ki sada lauT aa.egi
viraniyon ka naam har ik ghar pe naqsh hai
paani ki ye lakir nahin hai jo miT sake
shishe ki dastan to patthar pe naqsh hai
jakḌa hua hai pichhle janam ke hisar men
maazi ka saneha dil-e-‘aḳhtar’ pe naqsh hai
Leave a Reply