qalam men ashk bhar kar likh rahi huun dard kaghaz par
bikhere ja rahi huun hasraton ko sard kaghaz par
taḌap aurat ke dil ki sirf ik aurat samajhti hai
bas apni ḳhvahishon ko likh rahe hain mard kaghaz par
chalo maana ki kah lene se dukh halka hi hota hai
magar kuchh hi palon men itna saara dard kaghaz par
yunhi bas aaj main ne ik purani Diary kholi
jami thi kab se yadon ki purani gard kaghaz par
nisa.i karb likhne ka hunar ham ko hi aata hai
hukumat apni sabit kar rahe hain mard kaghaz par
tabhi ja kar ghazal ko ik na.e paikar men Dhala hai
lahu ki surḳh bunden jab giri hai zard kaghaz par
nami se gal bhi sakte hain sharar se jal bhi sakte hain
bharosa kar rahi hain kyon ‘siya’ be-dard kaghaz par
Leave a Reply