Mohlat Na De Zara Bhi Mujhe Meri Jaan Khinch

mohlat na de zarā bhī mujhe merī jaan khīñch

maiñ aarzū tamām huuñ apnī kamān khīñch

ik mahshar-e-jamāl uThā toḌ de jumūd

tīr-e-nazar zamīn se tā-āsmān khīñch

maiñ aa rahā huuñ barsar-e-mauj-e-havā-e-gul

tū laakh apne gird hisār-e-makān khīñch

lamhāt-e-be-amāñ bhī ġhanīmat haiñ paas aa

mauzū-e-dīgarāñ bhī na ab darmiyān khīñch

vo lab-chashīdnī haiñ vo dāman-kashīdnī

aa.e na gar yaqīñ to pa.e-imtihān khīñch

‘sahbā’ ye shahr-e-zīst sadāoñ kā shahr hai

ya.anī tanāb-e-hasrat-e-husn-e-bayān khīñch

Leave a Comment