zindagi ko zaḳhm ki lazzat se mat mahrum kar
raste ke pattharon se ḳhairiyat ma.alum kar
TuuT kar bikhri hui talvar ke TukḌe sameT
aur apne haar jaane ka sabab ma.alum kar
jagti ankhon ke ḳhvabon ko ghazal ka naam de
raat bhar ki karvaTon ka za.iqa manzum kar
shaam tak lauT a.unga hathon ka ḳhali-pan liye
aaj phir nikla huun main ghar se hatheli chuum kar
mat sikha lahje ko apni barchhiyon ke paintare
zinda rahna hai to lahje ko zara ma.asum kar
Leave a Reply