hai mire pahlu men aur mujh ko nazar aata nahin
is pari ka sehr yaaro kuchh kaha jaata nahin
ashk ki barish men dil se gham nikal aata nahin
ghar se bahar menh barasne men koi jaata nahin
chak-e-jeb apne ko main bhi juun gareban-e-sahar
naseha ta-daman-e-mahshar tu silvata nahin
sham.a saan rishte par ulfat ke laga dete hain sar
ashiq aur ma.ashuq sa bhi dusra naata nahin
bas-ki tere hijr men hai na-gavara akl-o-sharb
dil ba-juz ḳhun-e-jigar ai jaan kuchh khata nahin
main hi tum sab ka bana tir-e-malamat ka nishan
us but-e-sarkash ko yaaro koi samjhata nahin
vaa.e ye ghaflat ki dariya biich qatre ki tarah
aap hi men aap ko DhunDun huun aur paata nahin
tark-e-ishq us sarv-e-bala ka kiya hai jab se dil
alam-e-bala se bala.i ḳhabar laata nahin
bas-ki hai ham-rang vashud se ‘muhib’ us baagh men
dil ko ghair-az-ghuncha-e-tasvir kuchh bhata nahin
Leave a Reply