hamin tak rah gaya qissa hamara
kisi ne ḳhat nahin khola hamara
paḌha.i chal rahi hai zindagi ki
abhi utra nahin basta hamara
muafi aur itni si ḳhata par
saza se kaam chal jaata hamara
kisi ko phir bhi mahnge lag rahe the
faqat sanson ka ḳharcha tha hamara
yahin tak is shikayat ko na samjho
ḳhuda tak ja.ega jhagḌa hamara
taraf-dari nahin kar paa.e dil ki
akela paḌ gaya banda hamara
ta.aruf kya kara aa.e kisi se
usi ke saath hai saaya hamara
nahin the jashn-e-yad-e-yar men ham
so ghar par aa gaya hissa hamara
hamen bhi chahiye tanha.i ‘shariq’
samajhta hi nahin saaya hamara
Leave a Reply