‘bedar’ karun kis se main izhar-e-mohabbat
bas dil hai mira mahram-e-asrar-e-mohabbat
har bul-havas us jins ka hota haiga khvahan
jan-bakhta-khvan hoven kharidar-e-mohabbat
ai shaikh qadam rakhiyo na is raah men zinhar
hai subha-shikan rishta-e-zunnar-e-mohabbat
karte hain abas mujh dil-e-bimar ka darman
vabasta miri jaan se hain azar-e-mohabbat
bach jaun is azar se ‘bedar’ gar ab ki
hunga na kabhi phir main giraftar-e-mohabbat
Leave a Reply