kahan ki chaal nikali hai ye kahan ki tarah
zamin pe chalne lage log asman ki tarah
tumhin batao ki tasir is men kya hogi
jo tum sunoge mira haal dastan ki tarah
shab-e-visal bayan kya karen gham-e-hijran
vo dard-e-dil ko bhi sunte hain dastan ki tarah
dikha raha hai zamane ko inqalab ki shakl
badal raha hai koi rang asman ki tarah
har ek baat miri kaaT di dam-e-taqrir
chale na tegh bhi zalim tiri zaban ki tarah
khaḌe hain hashr men ḳhamosh ahl-e-hashr tamam
kalam munh se nikalta nahin zaban ki tarah
falak vo chaal bhi ab chal ki ho mujhe taskin
ujaaḌ ḳhana-e-sayyad ashiyan ki tarah
ḳhuda hi jaane ki rindon ne kya kiya ‘mas.ud’
janab-e-shaiḳh ne fariyad ki azaan ki tarah
Leave a Reply