• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Phul Sahra Mein Khila De Koi

Phul Sahra Mein Khila De Koi

phuul sahra men khila de koi

main akela huun sada de koi

koi sannaTa sa sannaTa hai

kaash tufan uTha de koi

jis ne chaha tha mujhe pahle-pahal

us sitamgar ka pata de koi

jis se TuuTe mira pindar-e-vafa

mujh ko aisi bhi saza de koi

raat soti hai to main jagta huun

us ko ja kar ye bata de koi

jo mere paas bhi hai duur bhi hai

kis tarah us ko bhula de koi

ishq ke rang liye phirta huun

us ki tasvir bana de koi

dil ke ḳhirman men nihan hain sho.ale

apne daman ki hava de koi

phuul phir zaḳhm bane hain ‘nasir’

phir ḳhizaon ko dua de koi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Baja Ki Naqsh-E-Kaf-E-Pa Pe Sar Bhi Rakhna Hai

Tujhi Se Ibtida Hai Tu Hi Ek Din Intiha Hoga

poet

Maze Ke Sath Guzra Hun Mohabbat Ki Manazil Se

bushra-farrukh

Ba-Zahir Tujhse Milne Ka Koi Imkan Nahin Hai

Zillat Hai Jo Phailae Bashar Pesh-E-Digar Hath

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet