ye shahr ye ḳhvabon ka samundar na bachega
jab aag lagegi to koi ghar na bachega
ya naqsh ubharo koi ya aks ko puujo
shishe ko bachaoge to patthar na bachega
ehsas-e-rqabat se jabinon ko bachao
Takra.enge sajde to koi dar na bachega
ai niind chhupe rahne de do-char nazare
jab aankh khulegi koi manzar na bachega
maqtal ki siyasat na hamari na tumhari
tafriq karoge to koi sar na bachega
Leave a Reply