umid-o-bim ke aalam men dil dahalta hai
vo aate aate ka.i raste badalta hai
abhi to shaam hai tanqid kar na rindon par
suna hai raat ga.e mai-kada sambhalta hai
na koi ḳhauf na andesha aur na raḳht-e-safar
ye kaun hai jo mire saath saath chalta hai
hamare vaste jis ja pe hadd-e-fasil hai
vahin se ek naya rasta nikalta hai
ajiib chiiz hai ye karb-e-ḳhud-kalami bhi
jo baat kiije to ik silsila nikalta hai
na jaane kitne sar-e-pur-ghurur kaTte hain
ajiib shaḳhs hai talvar ban ke chalta hai
‘habab’ shikva baja laao naqd-e-jan ke tufail
tumhare naam ka sikka yahan bhi chalta hai
Leave a Reply